Rasm-e-wafa


Safar mei rahta hai mann,
Nirantar badhta hi jaata hai.
Khoobsurat manzar ho,
Chahe ho meel ke pathar,
Apni hi dhun mei chalta jaata hai.
Wo baalu ke sheesh-mahal,
Lehro par palte khwaab,
Peeche kahi chhodta jaata hai.
Anginat afsaane naye-purane,
Thodi haqeekat thode fasaane,
Aksar dohraata jaata hai.
Bandhta nahi seema mei,
Azaad panchhi sa tinka-tinka,
Yaadein jodta jaata hai.
Rasm-e-wafa to dekho iski,'VINi'
Mujhe tanha chhodta nahi,
Aur unka hua jaata hai.
By- Vinita Surana

Comments

Popular posts from this blog

लाल जोड़ा (कहानी)

एक मुलाक़ात रंगों से

कहानी (मुक्तक)