Kya Sach-much Aisa Hota Hai?




Kya sach-much aisa hota hai?
Jab Ghana ho andhera
Aur koi roshni na dikhai de

Maayus ho mann
Aur raasta na sujhai de

Hataasha apne pankh pasaarne lage
Aur jeevan-sangharsh mei
Har or paraajay dikhai de

Tabhi koi ahista se dastak deta hai
Sukun ki ek thapki
Aur man madhosh sa sota hai


Tab ek nav-swapn janm leta hai

Kadam badh chalte hai
Ek nayi roshni ki talaash mei 

Kyunki tab saath mei 
Ek naya savera hota hai.

BY- Vinita Surana

Comments

Popular posts from this blog

लाल जोड़ा (कहानी)

एक मुलाक़ात रंगों से

कहानी (मुक्तक)