Aaj Phir Boondo Se Baat Hui





Aaj phir boondo se baat hui
Maano tumse mulakaat hui
Yaad aaj phir aaye
Wo bheege se lamhe
Tumhaara sharaarat se muskuraana
Hatheli mei bharkar
Wo baarish ke chheente udaana
Aankho mei hamaari apna pratibimb dekhkar
Haule se gungunaana
Haatho mei thaame haath, VINi
Bas thirakte hi jaana.


Yaad aaj phir aayi
Wo bheeni si khushboo
Jo tum mei basti thi
Sang-sang hamaare
Jab boonde bhi hasti thi
Baadlo ke pankh lekar
Mann uda karta tha
Tumhaari meethi awaaz ki kashish mei
Saara aalam ji uthta tha


Ye baarish ki boonde
Kabhi akele nahi aati
Chhookar geeli meeti ko
Saundhi khushboo mehkaati
Us khushboo mei basi
Phir tumhaari yaad le aati.
Aaj phir boondo se baat hui
Maano tumse mulaakaat hui.


BY- Vinita Surana

Comments

Popular posts from this blog

लाल जोड़ा (कहानी)

एक मुलाक़ात रंगों से

कहानी (मुक्तक)