Pehchaan

Simat rahi hai dooriyaan kahi
Chhoot rahe hai kuch mod peeche
Naye se lagte hai raste, phir bhi
Koi anjaani dor apni aur kheeche.

Ek ant-heen safar par badh rahe hai kadam,
Jaane kitne nishaan abhi hai baaki.
Lamba hai bahut shabdo ka karwaan, VINi
Par khud se khud ki pehchaan abhi hai baaki.

By- Vinita Surana

Comments

Popular posts from this blog

लाल जोड़ा (कहानी)

एक मुलाक़ात रंगों से

कहानी (मुक्तक)