Adhlikhe Panne

             3939314111_43b2a203d1_z
Kahaani kuch adhuri si hai
Ek ansuljhi paheli
Ek adhura sa geet.
Aksar chhute hue sirey talaasha karti hu
Apne adhlikhe panno mei.
Kuch to likha nahi
Kuch ab dikhta nahi.
Kahi faili hai syahi
bheege hai jazbaat.

Raat ki khamoshi mei
Jab panna koi khulta hai
Saara aalam jaise mehakta hai.
Shabdo ka mela sa lag jaata hai.
Kho si jaati hu mai,
Phir khud ko samjhaati hu
Purey manoyog se jut jaati hu
Kuch chhutey hue siro ki talaash mei.

By- Vinita Surana


Comments

Popular posts from this blog

लाल जोड़ा (कहानी)

एक मुलाक़ात रंगों से

कहानी (मुक्तक)