HUM-TUM

Kuch baat thi un boondo mein
Ehsaas naye jagaa gayi.
Pahli preet ki baarish mein
Bheege se Tum the

Aur bheege se Hum the.
Kuch baat thi un aankho mein
Raaz jaise gahre kayi.
Meethe sapno ki khushboo mein
Mahke se Tum the
Aur mahke se Hum the.
Kuch baat thi us muskaan mein
Rang kitne bhar gayi.
Aasmaani rango ki roshni mein
Nahaaye se Tum the
Aur nahaaye se Hum the.
Kuch baat thi us saath mein
Jaise madhoshi koi.
Bheeni si us bayaar mein
Bahke se Tum the
Aur bahke se Hum the.
Kuch baat thi har pal mein
Jaise ho zindagi nayi.
HUM-TUM ke saath mein VINi
Doobe se Tum the
Aur doobe se Hum the.
_VINITA SURANA

Photo: HUM-TUM

Kuch baat thi un boondo mein
Ehsaas naye jagaa gayi.
Pahli preet ki baarish mein
Bheege se Tum the
Aur bheege se Hum the.

Kuch baat thi un aankho mein
Raaz jaise gahre kayi.
Meethe sapno ki khushboo mein
Mahke se Tum the
Aur mahke se Hum the.

Kuch baat thi us muskaan mein
Rang kitne bhar gayi.
Aasmaani rango ki roshni mein
Nahaaye se Tum the
Aur nahaaye se Hum the.

Kuch baat thi us saath mein
Jaise madhoshi koi.
Bheeni si us bayaar mein
Bahke se Tum the
Aur bahke se Hum the.

Kuch baat thi har pal mein
Jaise ho zindagi nayi.
HUM-TUM ke saath mein VINi
Doobe se Tum the
Aur doobe se Hum the.

_VINITA SURANA

Comments

Popular posts from this blog

लाल जोड़ा (कहानी)

एक मुलाक़ात रंगों से

कहानी (मुक्तक)