Haseen Lamhe

Jaado ki wo masti bhari raate
Dosto sang wo haseen mulaakaate
Yaad aate hai aksar
Wo lamhe wo jazbaat.

Wo iklaute kash ka har haath se guzarna
Wo masti ke pal, Wo ladna jhagadna
Wo hansi ke thahaake, wo gaana-bajaana
Phir ghar ki yaad mein aankhein nam ho jaana.

Wo kadki ke din, wo jebe tang
Wo dosto sang chalakte khushiyo ke rang
Wo aadhi raat ki bhuk mein
Ek plate maggi aur chai ka sang.

Wo meethi gaaliya aur un mein barasta pyar
Wo shararat bhari masti, wo shabdo ke vaar
Wo mastaani shaame, wo raato mein thandi bayaar
Yaad aksar aate hai wo yaaro ke yaar.
BY- Vinita Surana

Comments

Popular posts from this blog

लाल जोड़ा (कहानी)

एक मुलाक़ात रंगों से

कहानी (मुक्तक)