AAKHRI PAIGAAM

( Apne jeewan ke antim shrano mein eik sainik ka apni matra-bhoomi key liye )
Bepanaah mohabbat ki hai tumse
Bas eik tumhe khone se darta hu.
Har khushi meri hai tumse
Har muskaan tumhaare liye

Koi tum par buri nazar daale
Bas is khyaal se darta hu.
Cham-cham chamke, sone sa damke
Chanchal sa ye mukhda tumhaara
Nazar na lag jaaye kisiki
Bas is baat se mai darta hu.
Amitt muskaan labo par khele
Aanchal chaand-taaro se sajaa du
Koi apna hi na daag laga de
Bas is darr se mai darta hu.
Maan ho, Sammaan ho, tum ho Jaan meri
Tum par hai kurbaan, har saans meri
Jin aankho mein baste sapney mere
Bas unki nami se mai darta hu.
Antim shran tak , jeewan paryant tak,
karunga hifaazat tumhaari
Bas ye jeewan kam na pad jaye, VINi
Is ehsaas se mai darta hu.
BY- VINITA SURANA

Photo: AAKHRI  PAIGAAM ( Apne jeewan ke antim shrano mein eik sainik ka apni matra-bhoomi key liye )

Bepanaah mohabbat ki hai tumse
Bas eik tumhe khone se darta hu.
Har khushi meri hai tumse
Har muskaan tumhaare liye
Koi tum par buri nazar daale
Bas is khyaal se darta hu.
Cham-cham chamke, sone sa damke
Chanchal sa ye mukhda tumhaara
Nazar na lag jaaye kisiki
Bas is baat se mai darta hu.
Amitt muskaan labo par khele
Aanchal chaand-taaro se sajaa du
Koi apna hi na daag laga de
Bas is darr se mai darta hu.
Maan ho, Sammaan ho, tum ho Jaan meri
Tum par hai kurbaan, har saans meri
Jin aankho mein baste sapney mere
Bas unki nami se mai darta hu.
Antim shran tak , jeewan paryant tak,
karunga hifaazat tumhaari
Bas ye jeewan kam na pad jaye, VINi
Is ehsaas se mai darta hu.
BY- VINITA SURANA

Comments

Popular posts from this blog

लाल जोड़ा (कहानी)

एक मुलाक़ात रंगों से

कहानी (मुक्तक)