VIRAHH


sad-girl9754
Ek tujhe paane ki aas mein sab kho diya
Khwaaish ki jo chaand ki, to aasma hi kho diya.

Wo din bhi kya haseen the
Jab sung hamaare tum the
Jeevan bhar ka saath tha samjha
Waha lamhe hi kam the.
Khwaab haseen sajaaye the humne
Aankh khuli to jahaan hi kho diya.

Preet tumhaari samajh naa paaye
Khata humse ho gayi
Hasi thitholi mein hi VINi
Zindagi humaari kho gayi
Meethi si yaadein de gaye tum
Ashko ne unhe bhigo diya.

Rah-Rah kar teess uthaati hai
Jab kaali badli chhati hai
Thandi hawaayein choo kar
Sihran si de jaati hai.
Virah mein apne priyatam ke
Aasma bhi ro diya.

By- Vinita Surana

Comments

Unknown said…
In chahton ka bhi najane keysa usul hy..?

Bgair VIRAH in ka mol bhi Fizul hy...!.




Popular posts from this blog

लाल जोड़ा (कहानी)

एक मुलाक़ात रंगों से

कहानी (मुक्तक)