Prem Kaha Hai

Chand sikko ki khanak mei khoyi
Kyu lahoo ki pukaar hai.
Apni chhoti si khushi ke aagey
Kisi ki zindagi lagti bekaar hai.
Dhero dulaar lutate apne Tommy-Silky par
Aur bhooke insaan ke liye bas dutkaar hai.
Rang-roop par mar mit te
Na mile to tezaab ki fuhaar hai.
Kaun chhota kaun badaa
Har kahi khadi koi deewar hai.
Aashiya apna sajane ko, VINi
Prakriti se karte khilwaar hai.
Zehrilla bana diya ANN, JAL, VAAYU
Aur lambi aayu ki karte guhaar hai.
Bhai ka dushmann bana hai bhai
KAHA HO TUM PREM, BAS TUMHAARA INTEZAAR HAI.
by Vinita Surana

Comments

Popular posts from this blog

लाल जोड़ा (कहानी)

एक मुलाक़ात रंगों से

कहानी (मुक्तक)