HUM-TUM

Badla sa hai manzar,
badli si hawaayein lagti hai.
Muskaan hotho par aakar bhi,
aankho se anjaan lagti hai.
Jahaa tak nazar jaaye,
bheed mein bhi har basti, veeran lagti hai.
Kisne cheena hai sukoon,
kyu dil ki deeware bejaan lagti hai.
Patthar se ho chale jazbaat, VINi
rimjhim barsaat bhi bezaar lagti hai.
Ye kaise sheher hai,
jahaa har gali sunsaan lagti hai.
Rishtey-naatey bandhan lagte,
ekaaki har insaan ki pehchaan lagti hai.
Aao HUM-TUM milkar,
eik naya jahaan basaaye.
Tod kar sab zanjeere,
Khule aasmaan mein pankh failaaye.
Ek muskaan, meethi dhoop si, VINi
har aangan mein rakh aaye.
Saaz ho bas PREM ka,
har lafz prem-geet ban jaaye.
Kahi koi aansu chalke bhi to,
nami mein uski khushiyo ke phool khilaaye.
Kya tera ghar, kya mera ghar, na deeware , na darwaaje,
bas AASMAAN ho chhat apni, aur saari DHARTI bichhona ban jaaye.

BY-Vinita Surana.

Comments

Anonymous said…
nice post.

Popular posts from this blog

लाल जोड़ा (कहानी)

एक मुलाक़ात रंगों से

कहानी (मुक्तक)