Ye kaisi dukaan hai?
Ye kaisi dukaan hai?  Yaha bikta har saamaan hai.  Bikti hai masumiyat aur bebasi  Achchai ki aad mei,  Bachpan bikta kaudi-kaudi,  Ameero ke bazaar mei.  Betiyo ka sauda karte  Ye kaise haiwaan hai?  Sunheri sikko ki  khanak mei,  Bikta yaha imaan hai.  Ye kaisi dukaan hai?  Ye kaisa paath padha rahe  Shiksha ke bazaar mei?  Bik rahi khud Lakshmi  Saraswati ki aad mei.  Dard aur aansuo ki keemat par  Har din bikti hai roti,  Zindagi ki har pal yaha  Til-til maut hai hoti.  Cheekhti hai aabroo, ghuti hai siskiyaa  Kaun yaha sunega, bahraa har insaan hai.  Ye kaisi dukaan hai?  Yaha bikta khud insaan hai.  By- Vinita Surana