Ye kaisi dukaan hai?
Ye kaisi dukaan hai?
Yaha bikta har saamaan hai.
Bikti hai masumiyat aur bebasi
Achchai ki aad mei,
Bachpan bikta kaudi-kaudi,
Ameero ke bazaar mei.
Betiyo ka sauda karte
Ye kaise haiwaan hai?
Sunheri sikko ki khanak mei,
Bikta yaha imaan hai.
Ye kaisi dukaan hai?
Ye kaisa paath padha rahe
Shiksha ke bazaar mei?
Bik rahi khud Lakshmi
Saraswati ki aad mei.
Dard aur aansuo ki keemat par
Har din bikti hai roti,
Zindagi ki har pal yaha
Til-til maut hai hoti.
Cheekhti hai aabroo, ghuti hai siskiyaa
Kaun yaha sunega, bahraa har insaan hai.
Ye kaisi dukaan hai?
Yaha bikta khud insaan hai.
By- Vinita Surana
Comments