Dikhaai Deta Hai
Ye hawa ka jhonka sarsaraata hai,
Yaa koi dastak deta hai.
Dareecho se chhankar aati chaandni mei
Koi saaya dikhaai deta hai.
Ye bharam meri nazar ka hai,
Yaa sach mei tumhe dekha hai.
Parda zara sarka to chaand mei
Koi chehra dikhaai deta hai.
Ye asar meri deewangi ka hai,
Yaa tumhe bhi justaju meri hai.
Aksar chala aata hai khwaabo mei
Koi deewaana dikhaai deta hai.
Ye jhoothi zid meri hai,
Yaa ye doori zaruri hai.
Bechaini yaha bhi hai dil mei 'VINi'
Koi bekaraar waha dikhaai deta hai.
- Vinita Surana
Comments