Sunehre pinjre ka mook panchhi
Pinjare mei kaid baichain panchhi
Chonch ko takraata hai baar-baar
Shayad khul jaaye wo chhota sa dwaar
Pukaarta hai baar-baar
Shayad sun le koi pukaar.
Pankh to khol leta hai
Par udaan ke liye aasmaan kaha
Meve bhi hai, fal pakvaan bhi
Par jungli ber sa swaad kaha.
Har saans bhaari hai jeevan par
Phir bhi ek aas hai
Is sunheri andhere ke baahar 'VINi'
Kahi thoda ujaas hai.
Rokta nahi hai prayaas apne ye soch kar
Bhog vilaas mei ram, kahi ruk gaya agar
To bhool jayega apni manzil
Aur rah jayega bankar
"Sunehre pinjare ka mook panchi"
- Vinita Surana
Chonch ko takraata hai baar-baar
Shayad khul jaaye wo chhota sa dwaar
Pukaarta hai baar-baar
Shayad sun le koi pukaar.
Pankh to khol leta hai
Par udaan ke liye aasmaan kaha
Meve bhi hai, fal pakvaan bhi
Par jungli ber sa swaad kaha.
Har saans bhaari hai jeevan par
Phir bhi ek aas hai
Is sunheri andhere ke baahar 'VINi'
Kahi thoda ujaas hai.
Rokta nahi hai prayaas apne ye soch kar
Bhog vilaas mei ram, kahi ruk gaya agar
To bhool jayega apni manzil
Aur rah jayega bankar
"Sunehre pinjare ka mook panchi"
- Vinita Surana
Comments