Kya Wo Mai Hi Hu?
Tumhaare prem ko parakhne ki gustaakhi nahi kar sakti, 'VINi'
Phir bhi ek prashn jehen mei
Baar-baar ubharta hai...
Ki tumne jise be-inteha chaha,
Samaaj ke samaksh jis par apna adhikaar jataya,
Jiski sundarta ki prashansha se man hi man tum garvanvit hue,
Kya wo sach mei,
Mai hi hu?
Agar haa...
To phir kyu tum meri ankahee baate sun nahi paate
Meri khamoshi ko maun-svikrati samajh lete ho
Meri ha.si ke peeche chhupe aa.su nahi dekh paate?
Kyu tumhe ehsaas nahi hota, jab tumhaare saath hokar bhi saath nahi hoti?
Is bejaan saundarye ke peeche ki haqeqat padh nahi paate?
Shayad mai hi kasurwaar hu
Ki tumhe apne aap se milwa na paayi
Agar milwa paati to shayad
Bewajah muskurane ki sazaa na bhogti
Apno ki bheed mei ajnabi hone ka dard na sahti
Ye damakti haveli yu veerani na hoti
Shayad kuch panno mei mehakti
Hamari bhi ek amitt prem- kahaani hoti.
- Vinita Surana

Comments