Dwandh
Ek dwandh sa chalta hai bheetar
Dhundh kyu chhat ti nahi ?
Ye kaisi niyati likhi panno par
Ki syahi bhi dikhti nahi.
Khoye-khoye rang pighalte hai
Chahh kar bhi tasveer ubharti nahi.
Jaane kitne peher guzre
Raat phir bhi kat ti nahi.
Naape kitne teer-taalaab
Phir kis neer ki hai talaash,
Ki pyaas teri bujhti nahi.
Chatke kitne dhaage hai,
kitni kadeeya tuti
Patthar ki deewaaro se bastiyaa basti nahi.
Adh-khile phool jhadte rahe,
To ujad jayenge chaman,
Bagair aatmiyata, beej bhi panapte nahi.
Kahi to thheher,
Is dwandh ko de viraam,
Sirf chalne bhar se manzil milti nahi.
- Vinita Surana
Comments