Kaun Kahta Hai Ki Tum Nahi Ho
Kaun kahta hai ki tum nahi ho?
Mahfooz ho tum un yaado mei
Jo meri har saanjh ko mehkaati hai.
Tumhaare sparsh ka ehsaas hai un hawao mei
Jo aksar sihran si de jati hai.
Basey ho tum un ghatao mei
Jo tanhai mei palke bhigo jati hai.
Saakshi ho har pankti ki rachna mei
Jo kavita ki janani kahlaati hai.
Tumhi chamakte ho subah ki pahli kiran mei
Jo chupke se mere andhere ghar ko roshan kar jati hai.
Chaand bankar utar aate ho mere aangan ki har parchhai mei
Jo khwaab bankar aankho mei sama jati hai.
Phir wahi prashn poochti hai VINi
Kaun kahta hai ki tum nahi ho?
Kya hai koi sheh aisi jaha tum nahi ho?
-Vinita Surana
Comments