Kahte hai….

             
Kahte hai har raat ke baad ek subah hoti hai.
Phir kyu kuch aankhein kabhi na soti hai.
Khamosh se kuch adhure khwaab
Guzarti hui ghadiya piroti hai.
Kahte hai har raat ke baad ek subah hoti hai.

Andhere ke aanchal mei asha ke deep jhilmilaate hai.
Kuch bhule se nagme phir zahan mei ubhar aate hai.
Jab uthte hai yaado ke bhanwar
Tab thehri hui saanso mei hulchul hoti hai.
Kahte hai har raat ke baad ek subah hoti hai.

Har badalte mausam ke apne rang hote hai.
Meethi ujli dhoop chahekti hai par saaye bhi sang hote hai.
Kabhi khilti hai nayi kopal
To kabhi pattiya bhi daaman chhodd jati hai.
Kahte hai har raat ke baad ek subah hoti hai.

Jeevan hai ek dariya, sada hi bahta hai.
Har bandhan se pare hai prem, yeh kahta hai.
Saathi jo saath na chale to kya
Yaadein to saath hoti hai.
Yu hi nahi kahte VINi
Har raat ke baad ek subah hoti hai.

BY- Vinita Surana

Comments

ajayraj said…
yaadein..........


it really awesome lines

i really like it...

Popular posts from this blog

Happiness

Chap 28 HIS RETURN…..