Jeevan Saathi
Tanha se the hum
mausam bhi the kuch udaas.
Yaado ke gehre the bhanwar
par thame se the ehsaas.
Dhadakta tha dil, par ravaani na thi
Kisi ko sunaaye, aisi kahaani na thi.
Ghutan si thi saanso mei jaise,
Aur khushiya bhi lagne lagi bemaani thi.
Raat ke andhere jab gahraaye
tum chanda ban kar aaye.
Khushiyo ne pankh failaaye
Chhatne lage gum ke saaye.
Aankho ki nami bhi sukoon deti hai ab
Dhadkano mei pyar ka sangeet hai ab
Gulzar hai dil ka har kauna,
Saanso mei preet ki khushboo hai ab.
Aarzoo hai dil ki yahi VINi
har jeevan ka saathi ho wahi.
Aaj wo khwaab hi sahi,
Par is khwaab ki taabeer ho bas wahi.
BY- Vinita Surana
Comments