SALAAM INDIA !
Nam hai ankhein,
bikhre hai sapne,
tute hai dil,
bichhde hai apne.
Sehme se ehsaas hai
Sannata aas-paas hai
Cheekhti hai dhadkane
Ghutne lagi saans hai
Bewafa hai zindagi
Phir bhi ek aas hai.
Hoga phir naya SAWERA
To kya hua, jo aaj kaali raat hai.
Phool phir khilenge
To kya hua, jo aaj angaaro ki barsaat hai.
Pyaar phir mehkega, VINi
To kya hua, jo aaj gumsum se jazbaat hai.
Chahe jaise ho haalaat
Rahe HUM SAB saath-saath,
Atoot ho INSAANIYAT ka rishta,
Chahe jitne lambe ho haiwaaniyat ke haath.
BY- VINITA SURANA
Comments